koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA
shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA
ai nazAro na hanso mil na sakungA tum se
tum mire ho na sake main bhi tumhArA na rahA
kyA batAun main kahAn yunhi chalA jaatA huun
jo mujhe phir se bulA le vo ishAra na rahA
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
Agar milna nahin mumkin to Lehron per qadam rakh kar,
Abhi darya-e-ulfat ke kinaary baant lety hain.
Meri Jholi mein jitne bhi wafa ke phool hain unko,
Ikathay beth kar saare ke saare baant lete hain.
Mohabat ke ilawa pass apne kuchh nahin ab to 'FAIZ'
Isi daulat ko Hum qismat ke maarey bant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye kis ka tasavvur hai ye kis ka fasana hai
jo ashk hai ankhon men tasbih ka daana hai
dil sang-e-malamat ka har-chand nishana hai
dil phir bhi mira dil hai dil hi to zamana ha
ham ishq ke maron ka itna hi fasana hai
rone ko nahin koi hansne ko zamana hai
vo aur vafa-dushman manenge na maana hai
sab dil ki shararat hai ankhon ka bahana hai
shair huun main shair huun mera hi zamana hai
fitrat mira aina qudrat mira shana hai
jo un pe guzarti hai kis ne use jaana hai
apni hi musibat hai apna hi fasana hai
kya husn ne samjha hai kya ishq ne jaana hai
ham khak-nashinon ki Thokar men zamana hai
aghaz-e-mohabbat hai aana hai na jaana hai
ashkon ki hukumat hai aahon ka zamana ha
ankhon men nami si hai chup chup se vo baiThe hai
nazuk si nigahon men nazuk sa fasana hai
ham dard-ba-dil nalan vo dast-ba-dil hairan
ai ishq to kya zalim tera hi zamana hai
ya vo the khafa ham se ya ham hain khafa un se
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
ai ishq-e-junun-pesha haan ishq-e-junun-pesha
aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai
thoDi si ijazat bhi ai bazm-gah-e-hasti
aa nikle hain dam-bhar ko rona hai rulana hai
ye ishq nahin asan itna hi samajh liije
ik aag ka dariya hai aur Duub ke jaana hai
khud husn-o-shabab un ka kya kam hai raqib apna
jab dekhiye ab vo hain aina hai shana hai
tasvir ke do rukh hain jaan aur gham-e-janan
ik naqsh chhupana hai ik naqsh dikhana hai
ye husn-o-jamal un ka ye ishq-o-shabab apna
jiine ki tamanna hai marne ka zamana hai
mujh ko isi dhun men hai har lahza basar karna
ab aae vo ab aae lazim unhen aana hai
khuddari-o-mahrumi mahrumi-o-khuddari
ab dil ko khuda rakkhe ab dil ka zamana hai
ashkon ke tabassum men aahon ke tarannum men
maasum mohabbat ka maasum fasana hai
aansu to bahut se hain ankhon men 'jigar' lekin
bandh jaae so moti hai rah jaae so daana hai
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA
shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista
Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai