ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
hazar jaal liye ghumti phire duniya
tire asiir kisi ke hua nahin karte
ye ainon ki tarah dekh-bhal chahte hain
ki dil bhi TuTen to phir se juDa nahin karte
vafa ki aanch sukhan ka tapak do in ko
dilon ke chaak rafu se sila nahin karte
jahan ho pyaar ġhalat-fahmiyan bhi hoti hain
so baat baat pe yuun dil bura nahin karte
hamen hamari anaen tabah kar dengi
mukalme ka agar silsila nahin karte
jo ham pe guzri hai janan vo tum pe bhi guzre
jo dil bhi chahe to aisi dua nahin karte
har ik dua ke muqaddar men kab huzuri hai
tamam ghunche to 'amjad' khila nahin karte
Writer