ek pal men ek sadi ka maza humse puchhiye
do din ki zindagi ka maza humse puchhiye
bhule hain rafta rafta unhen muddaton men hum
qiston men KHud-kushi ka maza humse puchhiye
aaghaz-e-ashiqi ka maza aap jaaniye
anjam-e-ashiqi ka maza humse puchhiye
jalte diyon men jalte gharon jaisi zau kahan
sarkar raushni ka maza humse puchhiye
wo jaan hi gae ki hamen un se pyar hai
aankhon ki muKHbiri ka maza humse puchhiye
hansne ka shauq hum ko bhi tha aap ki tarah
hansiye magar hansi ka maza humse puchhiye
hum tauba kar ke mar gae be-maut ai KHumar
tauhin-e-mai-kashi ka maza humse puchhiye

husn jab mehrbaaN ho to kyaa keejiye
ishq kii maGhfirat kii duaa keejiye
is saliqe se unse gilaa keejiye
jab gilaa keejiye haNs diyaa keejiye
dusroN par agar tabsiraa keejiye
saamne aainaa rakh liyaa keejiye
ap sukh se haiN tark-e-talluq ke baad
itnii jaldii na ye faislaa keejiye
koi dhokhaa na khaa jaaye meri tarah
aise khul ke na sabse milaa keejiye
 

Husn-e-Yousuf k kharidar kahan se laon
Me yahan misr ka bazaar kahan se laon
Zakham do char agar hun to chupa kar rakhon
Dil me gunjaish-e-yalghar kahan se laaon
Ye to mumkin he tere jaise maseeha mil jaen
Apne dil k jaisa beemar kahan se laon
Mujh ko tasleem hen duniya k taqaaze lekin
Aik hi dil he me do char kahan se laon
Jhoot k bhaao jahan such ki zuban bikty he
Me wahan such ka talabgaar kahan se laon
Me hun insane to insane mujhe samjho tum b
Me farishton ka sa kirdar kahan se laon…….