Har tarah ke jazbaat ka elaan hain aankhein
Shabnam kabhi sho'ala, kabhi toofaan hain aankhein
Aankhon se badi koi taraazu nahin hoti
Tulta hai bashar jis mein, woh meezaan hain aankhein
Aankhein hi milaati hain zamaane mein dilon ko
Anjaan hain hum-tum agar anjaan hain aankhein
Lab kuchh bhi kahein, is se haqeeqat nahin khulti
Insaan ke sach-jhooth ki pehchaan hain aankhein
Aankhein na jhukein teri kisi ghair ke aage
Duniya mein badi cheez meri jaan, hain aankhein
Tum apna ranj-o-gham apni pareshani mujhe de do
Tumhein gham ki qasam, is dil ki veerani mujhe de do
Ye maana main kisi qaabil nahin hoon in nigaahon mein
Bura kya hai agar ye dukh, ye hairani mujhe de do
Main dekhun to sahi duniya tumhein kaise satati hai
Koi din ke liye apni nigahbani mujhe de do
Vo dil jo main ne maanga tha magar ghairon ne paaya hai
Badi shai hai agar us ki pashemani mujhe de do
Ye zulf agar khul ke bikhar jaaye to achchha
Is raat ki taqdeer sanwar jaaye to achchha
Jis tarah se thodi si tere saath kati hai
Baaqi bhi usi tarah guzar jaaye to achchha
Duniya ki nigaahon mein bhala kya hai bura kya
Ye bojh agar dil se utar jaaye to achchha
Waise to tumheen ne mujhe barbaad kiya hai
Ilzaam kisi aur ke sar jaaye to achchha
Main zindagi ka saath nibhata chala gaya
Har fikr ko dhuen mein udata chala gaya
Barbadiyon ka sog manana fuzool tha
Barbadiyon ka jashn manata chala gaya
Jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
Jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya
Gham aur khushi mein farq na mehsoos ho jahan
Main dil ko us maqam pe laata chala gaya
Kabhi khud pe, kabhi halaat pe rona aaya
Baat nikli to har ek baat pe rona aaya
Hum to samjhe the ki hum bhool gaye hain unko
Kya hua aaj ki kis baat pe rona aaya
Kis liye jeete hain hum, kis ke liye jeete hain
Barha aise sawaalaat pe rona aaya
Kaun rota hai kisi aur ki khaatir, ae dost
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya
Na mandir mein sanam hote, na masjid mein Khuda hota
Hami se ye tamasha hai, na hum hote to kya hota
Na aisi manzilein hotin, na aisa rasta hota
Sambhal kar hum zara chalte, to aalam zer-e-pa hota
Ghata chhati, bahar aati, tumhara tazkira hota
Phir us ke baad gul khilte, ke zakhm-e-dil hara hota
Zamane ko to bas mashq-e-sitam se lutf lena hai
Nishane par na hum hote, to koi doosra hota
Tere shan-e-karam ki laaj rakh li gham ke maaron ne
Na hota gham to is duniya mein har banda Khuda hota
Musibat ban gaye hain ab to ye saanson ke do tinke
Jala tha jab to poora aashiyana jal gaya hota
Hamein to doobna hi tha, ye hasrat reh gayi dil mein
Kinare aap hote aur safeena doobta hota
Are o jeete-jee dard-e-judai dene wale, sun
Tujhe hum sabr kar lete, agar mar ke juda hota
Bula kar tum ne mehfil mein hamein ghairon se uthvaya
Hami khud uth gaye hote, ishara kar diya hota
Tere ahbab tujh se mil ke phir mayus laut aaye
Tujhe "Naushad" kaisi chup lagi, kuchh to kaha hota
Khudi ko kar buland itna ki har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud poochhe bata teri raza kya hai
Maqaam-e-guftagu kya hai agar main keemiya-gar hoon
Yehi soz-e-nafas hai aur mitti ki keemiya kya hai
Basar maayil ba parvaaz-e-tamaasha hai to hone de
Ki is rangeen faza mein shokhi-e-baal-e-huma kya hai
Na ho naumeed, naumeedi zawaal-e-ilm-o-irfaan hai
Umeed-e-mard-e-momin hai Khuda ke raazdaan kya hai
Sitam hai, kis ki yeh nigaah-e-be-baak-o-jahaan-been hai
Kabhi apne gireebaan mein bhi jhaankein, dilbara kya hai
Na kar zikr-e-firaaq-o-vasl, dono khwaab hain ghaafil
Gham-e-jaaveed ka naam-o-nishaan kya, ibtida kya hai
Muhaasra – Nazam | Ahmed Faraz | mere ghanim ne mujh ko payam bheja hai
ki halqa-zan hain mere gird lashkari us ke
fasil-e-shahr ke har burj har manare par
kaman-ba-dast sitada hain askari us ke
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai
Tu Shaheen hain Basera Kar Pahadon ki Chattano Par
Tu Shaheen Hai, Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein
Hasbi rabbi jallallah ma fi qalbi ghairullah
Noor-e-Muhammad sallalla laailaha illallah
In Barishon Se Dosti Achi Nahi FARAZ,
Kacha Tera Makan Hai Kuch To Khayal kar.
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun (Bang-e-Dra)
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hoon