dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
tū mire haal ka khayal na kar
is men bhi ek shaan hai pyare
talkh kar di hai zindagi jis ne
kitni miThi zaban hai pyare
vaqt kam hai na chhed hijr ki baat
ye badi dastan hai pyare
jaane kya kah diya tha roz-e-azal
aaj tak imtihan hai pyare
ham hain bande magar tire bande
ye hamari bhi shaan hai pyare
naam hai is ka naseh-e-mushfiq
ye mira mehrban hai pyare
kab kiya main ne ishq ka daava
tera apna guman hai pyare
main tujhe bevafa nahin kahta
dushmanon ka bayan hai pyare
saari duniya ko hai ghalat-fahmi
mujh pe to mehrban hai pyare
tere kūche men hai sukūn varna
har zamin asman hai pyare
khair fariyad be-asar hi sahi
zindagi ka nishan hai pyare
sharm hai ehtiraz hai kya hai
parda sa darmiyan hai pyare
arz-e-matlab samajh ke ho na khafa
ye to ik dastan hai pyare
jang chhid jaae ham agar kah den
ye hamari zaban hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
hain daur-e-jam-e-avval-e-shab men khudi se duur
hoti hai aaj dekhiye ham ko sahar kahan
ya rab is ikhtilat ka anjam ho ba-khair
tha us ko ham se rabt magar is qadar kahan
ik umr chahiye ki gavara ho nish-e-ishq
rakkhi hai aaj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan
bas ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka
khat ka mire javab hai ai nama-bar kahan
kaun o makan se hai dil-e-vahshi kanara-gir
is khanuman-kharab ne DhunDa hai ghar kahan
ham jis pe mar rahe hain vo hai baat hi kuchh aur
aalam men tujh se laakh sahi tu magar kahan
hoti nahin qubul dua tark-e-ishq ki
dil chahta na ho to zaban men asar kahan
'hali' nashat-e-naġhma-o-mai DhunDhte ho ab
aa.e ho vaqt-e-sub.h rahe raat bhar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
hazar jaal liye ghumti phire duniya
tire asiir kisi ke hua nahin karte
ye ainon ki tarah dekh-bhal chahte hain
ki dil bhi TuTen to phir se juDa nahin karte
vafa ki aanch sukhan ka tapak do in ko
dilon ke chaak rafu se sila nahin karte
jahan ho pyaar ġhalat-fahmiyan bhi hoti hain
so baat baat pe yuun dil bura nahin karte
hamen hamari anaen tabah kar dengi
mukalme ka agar silsila nahin karte
jo ham pe guzri hai janan vo tum pe bhi guzre
jo dil bhi chahe to aisi dua nahin karte
har ik dua ke muqaddar men kab huzuri hai
tamam ghunche to 'amjad' khila nahin karte
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA
shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista
Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai