Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaanan, Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaanan,
Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai, Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanan,
Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai, Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaanan,
Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi, Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaanan,
Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar, Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanan,
Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin, Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaanan,
Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed, Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaanan,
Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha, Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaanan jaanan,
Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye, Aur se aur huye dard ke unwaan jaanan,
Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they, Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanan,
Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza, Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaanan..
Writer