jo bhi bura bhala hai allah janta hai
bande ke dil me kya hai allah janta hai
ye farsh-o-arsh kya hai allah janta hai
pardon me kya chupa hai allah janta hai
jakar jahan se koi vapas nahi hai aata
vo kaun si jagah hai allah janta hai
neki-badi ko apne kitna hi tu chupaye
allah ko sab pata hai allah janta hai
ye dhuup-chhao dekho ye subah-shaam dekho
sab kyu ye ho raha hai allah janta hai
kismat ke naam ko to sab jante hai lekin
kismat me kya likha hai allah janta hai
Kam Aa Sakeen Na Apni Vafaayen To Kyaa Karen
Ik Bevafaa Ko Bhool Na Jaayen To Kyaa Karen
Mujh Ko Ye Etaraaf Duaaon Men Hai Asar
Jaaye Na Arsh Par Jo Duaayen To Kyaa Karen
Ik Din Ki Baat Ho To Use Bhool Jaayen Ham
Naazil Hon Roz Dil Pe Balaayen To Kyaa Karen
Shab Bhar To Un Ki Yaad Men Taare Ginaa Kiye
Taare-Se Din Ko Bhi Nazar Aayen To Kyaa Karen
Ahad-E-Tarab Ki Yaad Men Royaa Kiye Bahut
Ab Muskuraa Ke Bhool Na Jaayen To Kyaa Karen
Ab Ji Men Hai Ki Un Ko Bhulaa Kar Hi Dekh Len
Vo Baar Baar Yaad Jo Aayen To Kyaa Karen
Tark-E-Vafaa Bhi Jurm-E-Muhabbat Sahi "Akhtar"
Milne Lagen Vafaa Ki Sazaayen To Kyaa Karen