Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se
Sooraj ke ujaale se, fazaon se khala se
Chaand aur sitaron ki chamak aur ziya se
Jangal ki khamoshi se, pahaaron ki ana se
Pehool samandar se, parsaar ghaata se
Bijli ke chamakne se, kadakne ki sada se
Mitti ke khazaanon se, anaajon se, ghiza se
Barsaat se, toofan se, paani se, hawa se
Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se
Gulshan ki bahaaron se, tu kaliyon ki haya se
Masoom si roti hui shabnam ki ada se
Lehrati hui baad sahar, baad subha se
Har rang ke har shaan ke phoolon ke quba se
Chiriyon ke chehakne se, to bulbul ki nawa se
Moti ki nazakat se, to heere ki jala se
Har shey ke jhalkte hue funkaar aur kala se
Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se
Duniya ke hawaadis se, wafaon se, jafa se
Ranj o gham alaam se, dardoon se, dawa se
Khushiyan se, tabassum se, mareezon ki shifa se
Bachon ki sharaarat se, to maon ki dua se
Neki se, ibaadat se, laghzish se, khata se
Khud apne hi sine ki dhadkane ki sada se
Wahdat teri har qaam pe deti hai dilaasa se
Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se
Iblees ke fitnon se, to Adam ki khata se
Ausaf-e-Ibrahim se, Yusuf ki haya se
Hazrat Ayyub ki tasleem o raza se
Esa ki Masihi se, Musa ke aasa se
Nimrod ke, Firaun ke anjaam-e-fana se
Kaaba ke taqaddus se, to Marwah aur Safa se
Taurat se, Injeel se, Quran ki sada se
Yaseen se, Taha se, Muzammil se, Naba se
Ek noor jo nikla tha kabhi Ghaar-e-Hira se
Hum ne tujhe jaana hai faqat teri ata se