Is naaz is andaaz se tum haaye chalo ho
Roz ek Ghazal ham se kahalavaaye chalo ho
Rakhnaa hai kahiN paaNv to rak_kho ho kahiN paaNv
Chalnaa zaraa aayaa hai to itaraaye chalo ho
Diivaana-E-gul qaidii-E-zanjiir hai, aur tum
Kyaa THaa_TH se gulshan kii havaa khaaye chalo ho
MaE meN koi Khaami hai na saaGhar meN koi khoT
Piinaa nahiN aaye hai to chhalkaaye chalo ho
Ham kuchh nahiN kahate haiN koi kuchh nahiN kahtaa
Tum kyaa ho tumhiN sab se kahalavaaye chalo ho
ZulfoN kii hai fitrat yahi, lekin mere pyaare
zulfoN se bhii zyaadaa tumhiN bal khaaye chalo ho
Vo shokh sitam_gar to sitam Dhaaye chale hai
Tum ho ke “Kaleem” apanii Ghazal gaaye chalo ho
Saman-e-tejarat ye mera imaan nahin hai
her darr pe jhuke sarr ye meri shaan nahi hai
harr lafz ko sino me basa lo to bane baat
taqon me sajane ke lye Quran nahin hai
Allah mere rizq ki barkat na chali jaye
Do roz se ghar me koi mehmaan nahin hai
Hum ne to banaye hain samunder me bhi raste
Yun hum ko mitana koi asaan nahin hai
Wo jisko buzurgon ki rewayat na rahe yad
Us shakhs ki logon koi pahchan nahin hai
Do chaar umidon ke diye ab bhi hain roshan
Maazi ki haweli abhi veeraan nahin hai
Majid Deobandi
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA
shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista
Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai