Misl-e-Khayaal aaye the aa kar chale gaye
Duniyaa hamaari Gham ki basaa kar chale gaye
Phoolo.n ki aas dil se lagaaye hue the ham
Kaante vo raste me.n bichhaa kar chale gaye
Aayi na thi hamaare chaman me.n bahaar abhi
Wo Khaab aashiyaa.N me.n lagaa kar chale gaye
Bhuule se bhi kabhi na dil ham bhulaa sake
Dil se hame.n vo apane bhulaa kar chale gaye
Fani Badayuni
Hosh waalo.n ko Khabar kyaa beKhudi kyaa chiz hai
Ishq kije phir samajhiye zindagi kyaa chiz hai
Un se nazare.n kyaa mili raushan fizaaye.n ho gai.n
Aaj jaanaa pyaar ki jaaduugari kyaa chiz hai
Khulti zulfo.n ne sikhaai mausamo.n ko shaayari
Jhukti aa.Nkho.n ne bataaya maikashi kyaa chiz hai
Ham labo.n se kah na paaye un se haal-e-dil kabhi
Aur vo samajhe nahi.n ye Khaamoshi kyaa chiz hai
Nida Fazli
Tere ishq ki intaha chaahata hoon
Meri saadgi dekh kya chaahata hoon
Sitam ho ki ho vaada-e-behijaabi
Koi baat sabr-aazama chaahata hoon
Yeh jannat mubarak rahe zaahidon ko
Ki main aap ka saamna chaahata hoon
Koi dam ka mehaman hoon aye ahal-e-mahfil
Chiraag-e-sahar hoon, bujha chaahata hoon
Bhari bazm mein raaz ki baat kah di
Bada be-adab hoon, saza chaahata hoon.
Allama Sir Mohammad Iqbal
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA
shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista
Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai