tere hote hue mahafil men jalaate hain chiraaGh
log kyaa saadaa hain suuraj ko dikhaate hain chiraaGh
apanii maharuumiyon pe sharmindaa hain
Khud nahiin rakhate to auron ke bujhaate hain chiraaGh
bastiyaaN chaaNd sitaaron pe basaane vaale
kurraa-e-arz bujhaate jaate hain chiraaGh
kyaa Khabar hai un ko ke daaman bhii bhaDak uThate hain
jo zamaane kii havaaon se bachaate hain chiraaGh
aisii taariikiiyaaN aaNkhon men basii hain 'Faraz'
raat to raat ham din ko jalaate hain chiraaGh
Writer