Saare Jaahaan Se Achchha Hindustan Hamaara
Hum Bulbulein Hain Isski Ye Gulistan Hamaara
Ghurbat Mein Ho Agar Hum Rehta Hai Dil Watan Mein
Samjhon Wahiin Hamein Bhi Dil Ho Jahaa Hamaara
Parbat Woh Sab Se Uncha Hamsaaya Aasmaan Ka
Woh Santary Hamaara_Woh Paasbaan Hamaara
Godi Mein Khilti Hain Isski Hazaaron Naddian
Gulshan Hai Jinke Dam Se Rashk-e-Jinaa Hamaara
Aye Aab-e-Rod-e-Ganga Woh Din Hain Yaad Tujhko
Utra Tere Kinaare Jab Caarvan Hamaara
Mazhab Nahin Sikhaata Aapas Mein Beir Rakhna
Hindi Hain Hum_Watan Hai Hindustan Hamaara
Unaan-o-Misr-o-Roma Sab Mit Gaye Jahaan Se
Ab Tak Magar Hai Baaqi Naam-o-Nishaan Hamaara
Kuchh Baat Hai Ke Hasti Mit-ti Nahin Hamaari
Sadion Raha Hai Dushman Daur-e-Zamaan Hamaara
“Iqbal”, Koi Mahram Aapna Nahin Jahaan Mein
Maalum Kya Kisi Ko Dard-e-Nihaan Hamaara**
ALLAMA IQBAL
Writer