Hoti hai tere naam se wehshat kabhi kabhi
Barham hoi hai youn bhi tabiyat kabhi kabhi
Ae dil kisey naseeb ye tofeeq-e-iztiraab
Milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi
Tere karam se ae alam e husne afreen
Dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi
Josh e junoon main dard ki tughyaniyon ke saath
Ashkon main dhal gae teri soorat kabhi kabhi
Tere qareeb reh ke bhi dil mutmain na tha
Guzri hai mujh pe ye bhi qayamat kabhi kabhi
Kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha
Youn bhi guzar gae shab e furqat kabhi kabhi
Ae dost hum ne tark e talluq ke bawajood
Mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi kabhi
Nasir Kazmi

Writer