jab aadami ke peT meN aati haiN roTiyaaN
phooli nahiN badan meN samaaati haiN roTiyaaN
aaNkheN pari_ruKhoN se laRaati haiN roTiyaaN
sine oopar bhi haath chalaati haiN roTiyaaN
jitne maze haiN sab ye dikhaati haiN roTiyaaN
RoTi se jis kaa naak talak peT hai bharaa
karataa phire hai kyaa wo uchhal kood jaa ba jaa
diwaar phaaNd kar ko_i koThaa uchhal gayaa
ThaaThTha haNsi sharaab sanam saaqi is siwaa
sau sau tarah ki dhoom machaati haiN roTiyaaN
jis jaa pe haaNDi choolhaa tawaa aur tanoor hai
Khaaliq ke qudaratoN kaa usi jaa zahoor hai
choolhe ke aage aaNch jo jalati hazoor hai
jitane haiN noor sab meN yahi Khaas noor hai
is noor ke sabab nazar aati haiN roTiyaaN
aawe tawe tanoor kaa jis jaa zabaaN pe naam
yaa chakki choolhe kaa jahaaN gul_zaar ho tamaam
waaN sar jhukaa ke kijiye DanDawat aur salaam
is waaste ke Khaas ye roTi ke haiN muqaam
pahale inhiN makaanoN meN aati haiN roTiyaaN
in roTiyoN ke noor se sab dil haiN poor poor
aaTaa nahiN hai chhalani se chhan chhan gire hai noor
peRaa har ek us kaa hai barfi-o-moti choor
har_giz kisi tarah na bujhe peT kaa tanoor
is aag ko magar ye bujhaati haiN roTiyaaN
poochhaa kisi ne ye kisi kaamil faqir se
ye mehr-o-maah haq ne banaaye haiN kaahe ke
wo sun ke bolaa baabaa Khudaa tujh ko Khair de
ham to na chaaNd samajhe na sooraj haiN jaanate
baabaa hameN to ye nazar aati haiN roTiyaaN
phir poochhaa us ne kahiye ye hai dil kaa noor kyaa
is ke mushaahide meN hai khulataa zahoor kyaa
wo bolaa sun ke teraa gayaa hai sha_oor kyaa
kashf-ul-quloob aur ye kashf-ul-quboor kyaa
jitane haiN kashf sab ye dikhaati haiN roTiyaaN
roTi jab aa_i peT meN sau qand ghul gaye
gul_zaar phoole aaNkhoN meN aur aish tul gaye
do tar niwaale peT meN jab aa ke dhul gaye
chaudaa tabaq ke jitane the sab bhed khul gaye
ye kashf ye kamaal dikhaati haiN roTiyaaN
roTi na peT meN ho to phir kuchh jatan na ho
mele ki sair Khwaahish-e-baaG-o-chaman na ho
bhooke Garib dil ki Khudaa se lagan na ho
sach hai kahaa kisi ne ke bhooke bhajan na ho
allaah ki bhi yaad dilaati haiN roTiyaaN
ab jin ke aage maal_puye bhar ke thaal haiN
poori bhagat unhiN ki wo saahab ke laal haiN
aur jin ke aage rauGani aur shir_maal hai
aarif wohi haiN aur wohi saahab kamaal haiN
paki pakaa_i ab jinheN aati haiN roTiyaaN
kapaRe kisi ke laal haiN roTi ke waaste
lambe kisi ke baal haiN roTi ke waaste
baaNdhe ko_i rumaal hai roti ke waaste
sab kashf aur kamaal haiN roti ke waaste
jitane haiN roop sab ye dikhaati haiN roTiyaaN
roTi se naache piyaadaa qawaayad dikhaa dikhaa
asawaar naache ghoRe ko kaawaa lagaa lagaa
ghungharoo ko baaNdhe paik bhi phirataa hai naachataa
aur is ke siwaa Gaur se dekho to jaa ba jaa
sau sau tarah ke naach dikhaati haiN roTiyaaN
duniyaa meN ab badi na kahiN aur niko_i hai
na dushmani wa dosti na tund kho_i hai
ko_i kisi kaa aur kisi kaa na ko_i hai
sab ko_i hai usi kaa ke jis haath Do_i hai
naukar nafar Gulaam banaati haiN roTiyaaN
roTi kaa ab azal se hamaaraa to hai Khamir
rookhi bhi roTi haq meN hamaare hai shahad-o-shir
yaa patali howe moTi Khamiri ho yaa katir
gehooN ju_aar baajare ki jaisi ho 'Nazeer'
ham ko sab tarah ki Khush aati haiN roTiyaaN
Writer