Apni aawaaz ki larzish pe to qaaboo paalo
Pyaar ke bol to honton se nikal jate hain
apne tewar to sambhaalo ke koi ye na kahein
dil badalte hain to chehere bhi badal jate hain”
main nazar se pii rahaa huuN ye samaa badal na jaaye
na jhukaao tum nigaahe.n kahiin raat dhal na jaaye
mere ashk bhii hain is mein ye sharaab ubal na jaaye
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye
merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa
tere aane kii khushii mein meraa dam nikal na jaaye
abhii raat kuchh hai baaqii na uthaa naqaab saaqii
teraa rind girate girate kahiin phir sambhal na jaaye
mujhe phuuNkane se pahale meraa dil nikaal lenaa
ye kisii kii hai amaanat kahiin saath jal na jaaye
main banaa to luuN nasheman kisii shaaKh-e-gulsitaaN pe
kahiin saath aashiyaan ke ye chaman bhii jal na jaaye
isi khauf se nasheman na bana saka main ‘Anwar’
ke nighaah-e-ahl-e-gulshan kahin phir badal na jaaye
Anwar Mirzapuri

zindagi jab bhi teri bazm mein, laati hai hamen
yeh zameen chaand se behtar, nazar aati hai hamen
surkh phoolon se mehek uthati hain dil ki rahen
din dhale yun teri aawaz bulaati hai hamen
yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshii se
raat ke pichhale prahar roz jagaati hai hamen
har mulaqaat ka anjaam judai kyun hai
ab toh har waqt yeh hi baat sataati hai hamen
Shahryar

nahi hoti faqat mai nosh ke hi hath se laghzish
jawani ke nashe me bhi nishane chook jate hain
-------------------------
KHAAB TO KHAAB HAIN MOHTAJ HAIN TABERON KAY
APNI ANKHO KO NA KHAABON KAY HAWALAY RAKHNA
----------*-------------
Ek tum ko agar chura lun main
Ye zamana gharib ho jaye..
------------*------------
Waqt Se Kehdo.. K Is Waqt Na Karwat Badley...!!!
Husn Aaghosh-e-Muhabbat Mein Chala Aaya Hai...!!!
----------------*-----------
KIA JANIE KIUN TAIZ HAWA SOCH MEIN GUM HAI
KHABIDA PRINDON KO DARKHTON SE URA KR
----------*------------
de diya zakhm to marham ka takaluf na karo,
kuch to rehne do meri zaat pe ehsan apne..
---------*-------------
Phir na ki jiye ga meri gustakh nigahon ka gila,
Dekhiye ap ne phir pyar se dekha mujh ko...
----------*-----------
Sakoon ka Aik Lamha Bhi Nahi Muyassar Mujko.....,
Yadon ko SuLati Hoon To Tanhai jaag Uthti Hai.....!!
---------*-------------
Daag duniya ne diye, zakhm zamane se mile....
Humko ye tohfe, tumhe dost banane se mile....
Hum tarasate hi, tarasate hi, tarasate hi rahe....
Wo falane se, falane se, falane se mile...
Khud se milte to chaahat ka gam na rehata...
Kya mile aap jo logon ke milane se mile...
-----------*--------------
Sabab hr ek mjhse poochhta hai mere rone ka,
Ae khuda,main kaise raazdaan kr loon iss poori duniya ko......
------------*----------
Dost Kya Khoob Wafaoon Ka Sila Daitay Hain
Her Naye Moor Per Ek Zakm Naya Daitay Hain
Tum Say To Khair Ghadi Bher Ki Mulakat Rahi
Log Barsoon Ki Rafaqat Ko Bhula Daitay Hain
----------*-------------
Faqat Tere Ishq Ki Ghulami Mein Hain Aj
Warna Yeh Dil Ek Zamany Tak Nawab Raha Hai
---------*------------
Ankhen he kaha karti hain sub dil k chupy raaz..?
Kyon tujh ko yaqeen meri in ankhoon pe nahe hai..
------------*-----------
Jiss Ki Nazron Mein Hum, Nahi Achay.....!!!!
Kuch To Wo Shakhs Bhi Bura Hoga...
------------*------------
Usse kahna ke laut aye sulagti shamon se pahle
Kisi ki muntazir ankhon me sadayen raqs karti hain
----------------*---------------
Mujhy GUmaN Tha Chaha BhOut Zamane nY MUjhY
MeiN AzeeZ sUbkO Tha MaGar ZUrato'N ki Tarha'N
--------------*---------------
Har koi apne chand se tha mahw-e-guftagu
Main apna chand dhundta raha aur eid guzar gyee
----------*--------------
Teri Pakeeza Nigaho Ki Taqaddus Ki Qasam..
Dil To Kya Rooh Ne Bhi Tujhse Mohabbat Ki Hai
----------------*--------------
Har waada-e-wafa ko bhulaane ka SHUKRIYA.
Deewaana kar ke aankh churaane ka SHUKRIYA.
Hum jaante the aap ke qaabil nahi hain hum,
Kuchh roz dil ki aas barhaane ka SHUKRIYA.
Taabeer jin ki daikh kar aankhein hain zakhmi zakhmi,
Itne haseen khawaab dikhaane ka SHUKRIYA,,,
-------------*-----------------
Yun na jhanko gharib ke ghar me
Yehan hasratein be libas rahti hain
------------*---------------
Tumhari yaad b Mohsin kisi muflis ki poonji hai,
Jisay hum sath rakhte hain, jisay hum roz gintay hain !
--------*----------------
Tere Gharoor ko Daikh k Teri tamana bi chor di Ham ne....
Zara Ham bhi to Dekhain k kon chahta hai tujhe Hamari tarha
-----------*---------
Ghuroor To Hona Tha Unko Hamari Muhabbat Ki Shiddat Daikh k
Magar Wo Apni Qadar Ki Soch Main Hamari Qeemat Bhool Gaya...
-------------*---------------
Mere ishq se mili hai tere husn ko ye shohrat...
Tera zikr hi kahan tha meri dastaan se pehle
-------------*---------------
Teri Sharton Pe Hi Karna Hai Agar Tujh Ko Qabool
Yeh Sahulat - Tou Mujhy Sara Jahan Deta Hai
----------*---------
zindagi ek kahani ke siva kuchh bhi nahin !!!!
log kirdar nibhate huye mar jate hain !!!!
---------*-----
Nahi Sajday Kiye Humnay Kabhi Ghairon Ki Chokhat Par
Hamein Jis Ki Zaroorat Ho Khuda Se Maang Letay Hain...!!!
-----------*----------
Ek lamha bhi mohabbat ka bahut hota hai !
log jeene ka saleeqa hi kahaan rakhte hain !!
------------*-----------
Tumhari yaad hi aksar hamein Majboor karti hai,
Warna SHAIRI karna hamein acha nahi lagta…
-------*-------------
Kitni Saji Hai Bewafai Tere Masoom Se Chehre Par,
wo Hum Hi Pagal The Jo Is Adaa Par Bhi Marr Gaye.....!
-----------*---------
Log padh lete hain ankhone se dil ki halat
ab mujh se tere gham ki hifazat nahi hoti
---------*----------
Dast-E-Taqdeer Se Har Shaks ne Hissa Paya….
Mere Hissay Main Tere Sath Ki Hasrat Aee
-------*--------
Ye dil bura he sahi sar e bazar to na kah___!!
Aakhir tu is makaan me kuch din raha bhi to hai___!!
--------*--------
Meri koi khata to Saabit kar,Jo Bura hun to Bura Saabit kar,Tujhe chaha hai kitna tu kya jane,Chal main Bewafa hi sahi,Tu Apni Wafa Saabit kar......
------------*-----------
Acche logon ko to sabhi chaha karte hain
Hai koi talabgaar! bahut bure hain hum
------------*-----------
Biti hui zindagi ki bas itni si kahani hai
Kuch hum khud barbad hue kuch unki meharbani hai
------------*-----------
Agar dil haar baithe ho mere humdum mohabbat me
Fana kaisi? Baqa kaisi? Saza kaisi? Jaza kaisi?
------------*-----------
Taskin-e-mohabbat ke faqat do hi tariqe the
Ya dil na bana hota ya tum na bane hote
-------------*-----------
Wo na mil to kia hua ye ishq hai hawas nahi
Mai unhi ka tha unhi ka hun wo mere nahi to na sahi
----------*-----------
Ye to accha hua qudrat ne rangin nahi rakhe aansu
warna jiske daman par girta wo to badnam ho jata
-----------*----------
bade shauq se sun raha tha zamana hame,
hum hi so gaye dastaan kahte kahte
-----------*------------
Usey shak hai k main us k liye jaan na dy paon ga
Mujy yeh darr hai k roye ga bouth wo aazma k mujhe

Chupke chupke raat din aaNsu bahaana yaad hai
Hum ko abtak aashiqi ka wo zamaana yaad hai
Ba-hazaraaN izteraab O sad hazaaraaN ishtiyaaq
Tujh se wo pahle pehal, dil ka lagaana yaad hai
Baar baar uThna usi janib nigaah E shouq ka
Aur tera ghurphe se wo, aankheN laRaana yaad hai
Tujh se kuch milte hi wo bebaak ho jana mera
Aur tera danton men wo ungli dabaana yaad hai
KhaiNch lena wo mera parde ka kona daf’a-atan
Aur dupatte se tera wo muNh chupaana yaad hai
Jaan kar sota tujhe woh qasd E pa-bosi mera
Aur tera thukra k sar, wo muskuraana yaad hai
Tujhko jab tanha kabhi pana to az-raah-E-lehaaz
Haal E dil batooN hi batoon men jataana yaad hai
Ghair ki nazroN se bach kar, sab ki marzi k khilaaf
Wo tera chori chhupe ratoN ko aanaa yaad hai
Aa gaya gar wasl ki shab bhi kahiN zikr E firaaq
Woh tera ro ro k mujhko bhi rulaana yaad hai
Do-pahar ki dhoop meN mere bulane ke liye
Woh tera koThe pe nange paoN aana yaad hai
Aaj tak nazroN men hai wo sohbat E raz O neyaz
Apna jaana yaad hai, tera bulaana yaad hai
Mithi mithi cheR kar baateN niraali pyaar ki
Zikr dushman ka wo batoN men uRaana yaad hai
Dekhna mujhko jo barghushta to sau sau naaz se
Jab mana lena to phir, kud rooTh jaana yaad hai
Chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
MuddateiN guzriN par ab tak wo thikaana yaad hai
Shauq men menhdi k wo be-dast-o-pa hona tera
Aur mera wo chheRna, wo gudgudana yaad hai
Ba-wajood E iddaaye itteqa ‘Hasrat’ mujhe
Aaj tak ahd E hawas ka wo fasaana yaad hai

KIA JANIE KIUN TAIZ HAWA SOCH MEIN GUM HAI
KHABIDA PRINDON KO DARKHTON SE URA KR
----------*------------

Hum unko bhula dein ye mumkin to nahin lagta
Her yaad mita dein ye mumkin to nahin lagta
Dhoka hi diya jisne her gam-e-tayalluk per
Hum usko sada dein ye mumkin to nahin lagta
Taswir sahi dil mein yadon ki basi hai to
Weeran bane dein ye mumkin to nahin lagta
Nisbat hai tere der se ab or kisi der per
Ser aapna jhuka dein ye mumkin to nahin lagta
Bimar huwa kiska oh jante hain aaquil
Per khaake-safa dein ye mumkin to nahin lagta
Matillah Aquil

Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiron mein mera naam to hai
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko 'Sabir'
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
Sabir Jalalabadi