der lagi aane men tumko shukr hai phir bhi aae to
aas ne dil ka sath na chhoDa waise hum ghabrae to
shafaq dhanak mahtab ghaTaen tare naghme bijli phool
is daman men kya kya kuchh hai daman hath men aae to
chahat ke badle men hum bech den apni marzi tak
koi mile to dil ka gahak koi hamen apnae to
suni-sunai baat nahin ye apne upar biti hai
phul nikalte hain sholon se chahat aag lagae to
jhuT hai sab tariKH hamesha apne ko dohraati hai
achchha mera KHwab-e-jawani thoDa sa dohrae to
nadani aur majburi men yaro kuchh to farq karo
ek bebas insan kare kya TuT ke dil aa jae to
Andaleeb Shadani

Writer