ye samundar hai kinare hi kinare jao
ishq har shaKHs ke bas ka nahin pyare jao
yun to maqtal men tamashai bahut aate hain
aao us waqt ki jis waqt pukare jao
dil ki bazi lage phir jaan ki bazi lag jae
ishq men haar ke baiTho nahin haare jao
kaam ban jae agar zulf-e-junun ban jae
is liye usko sanwaro ki sanware jao
koi rasta koi manzil ise dushwar nahin
jis jagah chaho mohabbat ke sahaare jao
hum to miTTi se ugaenge mohabbat ke gulab
tum agar toDne jate ho sitare jao
Dubna hoga agar Dubna taqdir men hai
chahe kashti pe raho chahe kinare jao
tum hi socho bhala ye shauq koi shauq hua
aaj unchai pe baiTho kal utare jao
maut se khel ke karte ho mohabbat aajiz
mujhko Dar hai kahin be-maut na mare jao
Kaleem Aajiz
Writer