is qadar musalsal thi shiddaten judaai ki
aaj pahli baar main ne us bewafai ki
warnaa ab talak yuN thaa Khwahishon ki baarish men
yaa to TuT kar royaa yaa Ghazal_saraai ki
taj diyaa tha kal jin ko ham ne teri chaahat men
aaj un se majaburan tazaa aashnaai ki
ho chalaa thaa jab mujh ko iKhtilaaf apne se
tune kis ghaDi zaalim meri ham_nawaai ki
tanz-o-taana-o-tohamat sab hunar hain naaseh ke
aap se koi puchhe ham ne kya buraai ki
phir qafas men shor uTThaa qaidiyon ka aur sayyaad
dekhnaa uDaa degaa phir Khabar rihaai kii
Written By : Ahmad Faraz
Meaning
(musalsal=continuous; shiddat=severity)
(Khwaahish=desire/wish)
(taj denaa=to abandon; aashanaa_ii=love/form relationships)
(iKhtilaaf=difference of opinion; ham-navaa_ii=friendship)
(tanz=satire; taanaa=taunt; tohamat=allegation; naaseh=preacher)
(qafas=cage/prison; sayyaad=hunter)

Writer