haath uThe hain magar lab pe duaa koi nahin
ki ibaadat bhi wo jis ki jazaa koi nahin
ye bhi waqt aana tha ab to gosh har aawaaz hai
aur mere barbaad-e-dil men sadaa koi nahin
aa ke ab taslim kar len tu nahin to main sahi
kaun maanegaa ke ham men bewafaa koi nahin
waqt ne wo Khaak uDai hai ke dil ke dasht se
qaafile guzre hain phir bhi naqsh-e-paa koi nahin
Khud ko yuN mahasur kar baiTha huN apni zaat men
manzilen chaaron taraf hai raastaa koi nahin
kaise raaston se chale aur kis jagah pahuNche 'Faraz'
yaa hujum-e-dostaaN tha saath yaa koi nahin

Writer