dil bhi bujha ho shaam ki parchhaaiyaaN bhi hon
mar jaaiye jo aise men tanhaaiyaaN bhi hon
aaNkhon ki surKh lahar hai mauj-e-supardagi
ye kyaa zarur hai ke ab angDaaiyaaN bhi hon
har husn-e-saada lau na dil men utar saka
kuchh to mizaaj-e-yaar men gahraaiyaaN bhi hon
duniyaa ke tazkire to tabiyat hi le bujhe
baat us ki ho to phir suKhan aaraaiyaaN bhi hon
pahle pahal kaa ishq abhi yaad hai 'Faraz'
dil Khud ye chaahta hai ke ruswaaiyaaN bhi hon

Writer