hawaa ke zor se pindaar-e-baam-o-daar bhi gaya
chiraGh ko jo bachaate the un ka ghar bhi gaya
pukarte rahe mahfuz kishtiyon waale
main Dubta hua dariya ke paar utar bhi gaya
ab ehatiyat ki diwaar kya uThaate ho
jo chor dil men chhupa tha wo kam kar bhi gaya
main chup raha ki is men thi aafiyat jaaN ki
koi to meri tarah tha jo daar par bhi gaya
sulagte sochte wiraaN mausamon ki tarah
kaDaa tha ahad-e-jawani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo naam dil men rahaa zehan se utar bhi gaya
phaTi-phaTi hui aaNkhon se yuN na dekh mujhe
tujhe talaash hai jis ki wo shaKhs mar bhi gaya
magar falak ki adaawt usi ke ghar se na thii
jahaaN 'Faraz' na tha sail-e-Gam udhar bhi gaya

Writer