badan men aag si chehraa gulaab jaisa hai
ke zahar-e-Gham ka nashaa bhi sharaab jaisa hai
kahaaN vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi Khwaab jaisaa hai
magar kabhi koi dekhe koi paDhe to sahi
dil aainaa hai to chehraa kitaab jaisaa hai
wo saamne hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai
'Faraz' sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahi
hamen aziz hai Khaana_Kharaab jaisaa hai
Writer