sadma to hai mujhe bhi ki tujhse juda hun mai
lekin ye sochta hu ki ab tera kya hu mai
bikhra pada hai tere hi ghar me tera vajud
bekar mahfilon me tujhe dhundata hu mai
mai Khudkushi ke jurm ka karta hu aitaraf
apne badan ki qabr me kabse gada hu mai
kis-kiska nam lu zaba par ki tere sath
har roz ek shaKhs naya dekhtaa hu mai
na jane kis ada se liya tune mera naam
duniya samajh rahi hai ke sab kuch tera hu mai
le mere tajurbo se sabak aie mere raqeeb
do chaar sal umr me tujhse bada hu mai
jaga hua zameer vo aeinaa hai "Qateel"
sone se pahle roz jise dekhta hu mai
By :  Qateel Shifai

Writer