Sach Kah Doon Ae Barhman! Gar Tu Bura Na Mane
Tere Sanam Kadon Ke Butt Ho Gye Purane
Apnon Se Bair Rakhna Tu Ne Buton Se Sikha
Jang-o-Jadal Sikhaya Waaiz Ko Bhi Khuda Ne
Tang Aa Ke Main Ne Akhir Dair-o-Haram Ko Chora
Waaiz Ka Waaz Chora, Chore Tere Fasane
Pathar Ki Moorton Mein Samjha Hai Tu Khuda Hai
Khak-e-Watan Ka Mujh Ko Har Zarra Devta
Aa, Ghairat Ke Parde Ek Baar Phir Utha Dain
Bichron Ko Phir Mila Dain, Naqsh-e-Dooi Mita Dain
Sooni Pari Hui Hai Muddat Se Dil Ki Basti
Aa, Ek Naya Shiwala Iss Dais Mein Bana Dain
Dunya Ke Teerthon Se Ucha Huwa Apna Teerath
Damaan-e-Asman Se Iss Ka Kalas Mila Dain
Har Subah Uth Ke Gayen Mantar Woh Meethe Meethe
Sare Pujariyon Ko Mai Peet Ki Pila Dain
Shakti Bhi, Shanti Bhi Bhagton Ke Geet Mein Hai
Dharti Ke Basion Ki Mukti Pareet Mein Hai
View More Nazam of Allama Iqbal
Writer