Chaandi jaisa rang hai tera, sone jaise baal
Aek tu hi dhanvaan hai gori, baqi sab kangaal
Har aaNgan mein saje na tere ujle roop ki dhoop
Chhail-chhabeeli raani thoRa ghuNghat aur nikaal
Bhar bhar nazreiN dekheiN tujh ko aate jaate log
Dekh tujhe badnaam na karde harni jaisi chaal
Beech mein rang-mahal hai tera khayi charoN or
Hum se milne ki ab gori tu hi raah nikaal
Yeh duniya hai khud gharzoN ki lekin yaar ‘Qateel’
Tu ne hamaara saath diya tu jiye hazaaroN saal
Writer