Aey mere hamnasheen, chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzara nahi
Baat hoti gulon tak to seh lete ham
Ab to kaanto pe bhi haq hamara nahi
Di sada daar par aur kabhi toor par
Kis jagah maine tumko pukara nahi
Thokren yun khilane se kya fayda
Saaf keh do ke milna gawara nahi
Aaj aaye ho tum kal chale jaoge
Ye mohabbat ko apni gawara nahi
Umar bhar ka sahara bano toh bano
Do ghadi ka sahara, sahara nahi
Gulistan ko lahu ki zaroorat padi
Sabse pehle hi gardan hamari kati
Phir bhi kehte hain mujhse ye ehal-e-chaman
Ye chaman hai hamara tumhara nahi
Zaalimo apni qismat par naaza na ho
Duar badlega ye waqt ki baat hai
Vo yakeenan sunega sadayen meri
Kya tumhara khuda hai hamara nahi
Writer