ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-vafa aur bhi hain
ek ham hi nahin duniya se Khafaa aur bhi hain
kyaa hua gar mere yaaron ki zabaanen chup hain
mere shaahid mere yaaron ke siva aur bhi hain
ham pe hi Khatm nahin maslak-e-shorida_sari
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhi hain
sar salaamat hai to kyaa sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain
munsif-e-shahar ki vahdat pe na harf aa jaaye
log kahte hain ke arbaab-e-jafaa aur bhi hai.n
Sahir Ludhyanvi
Writer