rasta bhi kaThin, dhoop meiN shiddat bhi bohat thi
saaye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi
kheme na koi mere musaafir ke jalaaye
zakhmi tha bohat paaoN musaafat bhi bohat thi
sab dost mre muntazir-e-parda-e-shab the
din meiN to safar karne meiN diqqat bhi bohat thi
barrish ki duaaoN meiN nami aaNkhi ki mil jaaye
jazbe ki kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi
kuchchh to tere mausam hi mujhe raas kam aaye
aur kuchchh mri miTTi meiN baghaawat bhi bohat thi
phooloN ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchchh is meiN hawaaoN ki siyaasat bhi bohat thi
is tark-e-rafaaqat pe pareshaaN to hooN lekin
ab tak ke tere saath pe hairat bhi bohat thi
khush aaye tujhe shehr-e-munaafiq ki ameeri
hum logoN ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi
Perveen Shakir
Writer