khwaahish bechi sapne beche aaNkh ka saawan bech diya
pet kii khatir kuchh logoN ne apnaa har fan bech diya.
arse baad wo muflis bachchaa aaj madarse lauta hai
uski bebas maaN ne shaayad aakhiri kangan bech diya.
us par hi sab tanz kaseNge usi ko pat_thar mareNge
ek kali kii dhun meiN jisne sara gulshan bech diya.
is shehre-behis meiN aakar dekho kitne chehroN ne
reza-reza phootpathoN par apnaa jeevan bech diya.
shakhoN ki, pattoN ki baghawat aakhir kab tak wo sahti
aakhir us bholii chiRiya ne aaj nasheman bech diya.
usko kho kar maiN to phir bhi duniyadaari seekh gayaa
par suntaa huN usne ghar ka ik-ik darpan bech diya.
Writer