kuchh to havaa bhi sard thi kuchh thaa teraa Khayaal bhi
dil ko Khushi ke saath saath hotaa rahaa malaal bhi
baat vo aadhi raat ki raat vo poore chaaNd ki
chaaNd bhi ain chet kaa us pe teraa jamaal bhi
sab se nazar bachaa ke vo mujh ko aise dekhate
ek dafaa to ruk gai gardish-e-maah-o-saal bhi
dil to chamak sakegaa kyaa phir bhi taraash ke dekh lo
shishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhi
us ko na paa sake the jab dil kaa ajiib haal thaa
ab jo palaT ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi
meri talab thaa ek shaKhs vo jo nahin milaa to phir
haath duaa se yuuN giraa bhool gayaa savaal bhi
shaam ki naasamajh havaa poochh rahi hai ik pataa
mauj-e-havaa-e-kuu-e-yaar kuchh to meraa Khayaal bhi
us ke hi baazuuon men aur us ko hi sochate rahe
jism ki Khvaahishon pe the rooh ke aur jaal bhi
Parveen Shakir
Writer