kamaal-e-zabt ko Khud bhii to aazamaa_uuNgii
main apane haath se us kii dulhan sajaa_uuNgii
supurd kar ke use chaaNdanii ke haathon
main apane ghar ke aNdheron ko lauT aa_uuNgii
badan ke karb ko vo bhii samajh na paayegaa
main dil men rouuNgii aaNkhon men muskuraa_uuNgii
vo kyaa gayaa ke rafaaqat ke saare lutf gaye
main kis se ruuTh sakuuNgii kise manaa_uuNgii
vo ik rishtaa-e-benaam bhii nahiin lekin
main ab bhii us ke ishaaron pe sar jhukaa_uuNgii
bichhaa diyaa thaa gulaabon ke saath apanaa vajuud
vo so ke uThe to Khvaabon kii raakh uThaa_uuNgii
ab us kaa fan to kisii aur se manasuub huaa
main kis kii nazm akele men gun_gunaa_uuNgii
javaz DhuuNDh rahaa thaa na_ii muhabbat kaa
vo kah rahaa thaa ke main us ko bhuul jaa_uuNgii
sama'aton men ghane jangalon kii saaNsen hain
main ab kabhii terii aavaaz sun na paa_uuNgii
Parveen Shakir
Writer