Bhalay dino ki baat hai bhali si ik shakal thi,
na yeah k husun tam ho na dekhnay mai aam si.
Na yeah k woh chalay to kehkashan c rah guzar lagay,
magar jub wo sath ho to phir bhala bhala safar lagay.
Koi bhi rut ho us ki wo chup fiza ka rang roop thi,
wo germiyo ki chaon thi wo serdiyo ki dhoop thi.
Na aisi khush libasiyaan k sadgi gila karay,
na itni be takalufi k aina haya keray.
Na asihq juno ki k zinadgi azab ho,
na is qadar kathorpan k zindagi kharab ho.
So ek roz kiya hua k wafa pe behas chir gai,
mai ishq ko amar kaho wo meri zid say chid gai.
Mai ishq ka aseer tha wo ishq ko kafas kahay,
k umer bhar k sath ko wo ba aittaraz hawas kahay.
Na us ko mujh per maan tha na mujh ko us per zaum hi,
jo aihad bhi koi na ho to phir kiya gham e shikistaghi.
So apna apna rasta hasi khushi badal diya,
woh apni rah chal pari mai apni rah chal diya.
Bhali si is shakal thi bhali si us ki dosti,
ab us ki yad raat din to nahi mager kabi kabi....
Ahmad Faraz

Writer