Meri Zindagi too faraaq hai,wo azal se dil main makee'n sahee
Wo nigaah_e_shauq se door hain,rag_e_jaa'n se laakh qaree'n sahee
Hamein jaan deni hai aik din,wo kisi tarah wo kahin sahee
Hamien aap khainchiye waar par,jo nahin koi tu hamee'n sahee
Sar_e_toor sar_e_hashr ho,hamein intezaar qabool hai
Wo kabhi milein,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kahin sahee
Na ho un pe mera bass nahin, ke ye aashqi hai hiwas nahi
Main unhi ka tha, main unhi ka hoon,wo mere nahin,tu nahin sahee
Mujhe bhaithne ki jaga milay,meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahin,teri anjuman ke qaree'n sahee
Tera dar tu hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zamee'n sahee
Hamein sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin tu yahee'n sahee
Meri Zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai
Mujhe uska ghum tu naseeb hai, wo agar nahin tu nahin sahee
Jo ho faisla wo sunaayye,usse hashr par na uthaayye
Jo karein ge aap situm waha, wo abhi sahee,wo yahee'n sahee
Unhe dekhne ki jo lo lagi tu Qateel dekh hi lain gey hum
Wo hazaar aankh se door hoon, wo hazaar pardah nashee'n sahee
Qateel Shifai

Writer