apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuuN
ek zaraa sher kahuuN aur main kyaa kyaa dekhuuN
niind aa jaaye to kyaa mahafilen barpaa dekhuuN
aaNkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuuN
shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aaNkhen bhii merii
bhuulanevaale main kab tak teraa rastaa dekhuuN
sab ziden us kii main puurii karuuN har baat sunuuN
ek bachche kii tarah se use haNstaa dekhuuN
mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut men mahakataa dekhuuN
tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii men aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuuN
main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aaNkhon men utarataa dekhuuN
tuu meraa kuchh nahiin lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dhaDakataa dekhuuN
Perveen Shakir
Writer