Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee, Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,
Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair, Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,
Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya, Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..
Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaanan, Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaanan,
Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai, Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanan,
Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai, Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaanan,
Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi, Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaanan,
Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar, Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanan,
Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin, Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaanan,
Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed, Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaanan,
Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha, Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaanan jaanan,
Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye, Aur se aur huye dard ke unwaan jaanan,
Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they, Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanan,
Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza, Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaanan..
Tera qurb hai na baada* hai, kya kiya jaaye, Phir aaj dukh bhi zeyadaa hai, kya kiya jaaye,
Kuch apne dost bhi turkish-badosh phirte hain, Kuch apna dil bhi kushaada hai, kya kiya jaaye,
Na un se tark-e-taluq ki baat kar paayen, Na humdumi ka iraada hai, kya kiya jaaye,
Woh meherbaan hai, magar dil ki hirss* bhi kam to ho, Talab karam se zeyada hai, kya kiya jaaye,
Humain bhi arz-e-tamanna ka dhangg nahin aata, Mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kya kiya jaaye,
Salook-e-yaar se dil doobne laga hai Faraz, Magar yeh mehfil-e-aaada hai, kya kiya jaaye..
(baada:libaas, clothes)(hirss:lalach, greed)
Watch this Video Poetry »
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA
shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista
Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai