Hans ke gham sehle magar gham ko muqadar na bana
Dil ko har haal main dil rehne de pathar na bana
Khwaab to khawaab hai tootega to dil tootega
Jhoothe khwabon se koi zakhm to dil par na bana
Aaj munh mod liya usne to ehsaas hua
Dil ye kehta raha har ek ko dilbar na bana..

Mohabbat kerny walon ko koee rasta nahi deta,
Zameen waqif nahi banti ,falak saya nahi deta,
Udasi jis k dil mein ho usi ki neend urrti hae,
kisi ko apni aankhon ka koee sapna nahi deta,
Khushi or dukh k mosam sab k apny apny hoty haen,
Kisi ko apny hissey ka koee lamha nahi deta,
Uthana khud hi parrta hae thaka toota badan apna,
K jab tak saans chalti hae ,koee kandha nahi deta.

Jab Say Ahsaas Kay Shoulon Nay Bharakna Seekha
Shama -e- Zeest Nay Har Aan Pighalna Seekha
Teri Qurbat Nay Jalaey Thay Jo Is Dil Main Charag
Teri Doori Say Charagon Nay Bharakna Seekha
Ak Sannata Tha , Weeraan Thi Guzargah -e- Hayaat
Janay Kab Dil Nay Mohabbat Ko Samajna Seekha
Aqal Walay Bhi Jahan Thokarain Kha Kha Kay Giray
Hum Nay Us Rah Say Darasal Sambhalna Seekha
Dil Ki Har Baat Negahon Say Ayaan Hoti Hay
Yeh Nazer Milnay Pay Is Dil Nay Samajhna Seekha,

khwaahish bechi sapne beche aaNkh ka saawan bech diya
pet kii khatir kuchh logoN ne apnaa har fan bech diya.
arse baad wo muflis bachchaa aaj madarse lauta hai
uski bebas maaN ne shaayad aakhiri kangan bech diya.
 
us par hi sab tanz kaseNge usi ko pat_thar mareNge
ek kali kii dhun meiN jisne sara gulshan bech diya.
 
is shehre-behis meiN aakar dekho kitne chehroN ne
reza-reza phootpathoN par apnaa jeevan bech diya.
 
shakhoN ki, pattoN ki baghawat aakhir kab tak wo sahti
aakhir us bholii chiRiya ne aaj nasheman bech diya.
 
usko kho kar maiN to phir bhi duniyadaari seekh gayaa
par suntaa huN usne ghar ka ik-ik darpan bech diya.
 

Nasim e subh o gulashan men gulon se khelti ho gi
kisi ki akhiri hichaki kisi ki dillagi ho gi
Tumhen danista mahafil may jo dekha ho to mujarim hun
nazar akhir nazar hai be irada uth gai ho gi
Maza a jayega mahashar may kuch sunne sunane ka
zuban hogi hamari aur kahani ap ki ho gi
Sar e mahafil bata dunga sar e mahashar dikha dunga
hamare sath tum hoge ye duniya dekhati ho gi
Yahi alam raha pardanashinon ka to zahir hai
Khudai ap se hogi na ham se bandagi ho gi
Ta'ajjub kya lagi jo ag aye `Seemab` seene main
hazaron dil me. Angare bhare the lag gai ho gi

Seemab Akbarabadi

Chand tanha hai aasman tanha
Dil mila hai kahan kahan tanha
Bujh gayee aas chchup gya tara
Tharthrata raha dhuaaN tanha
Zindagi kya usi ko kahte hain
Jism tanaha hai aur jan tanha
Jalti bujhti si raushni k  parde
Simta simta sa ek makan  tanha
Raah dekha karegeN SadiyoN tak
Chor jayenge ye jahan tanha
Meena Kumari

Baaton baaton main bicharnay ka ishaarah ker ke
Khud bhi wo roya bohat hum se kinaarah ker ke
Sochta rehta hun tanhai main anjaam-e-khaloos
Phir usi jurm-e-mohabbat ko dobaarah ker ke
Jagmaga di hain tere shehar ki galiyan main ne
Apnay her ik ashq ko palkon pe sitarah ker ke
Daikh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
Aor kuch roaz teray saath guzaarah ker ke

Ankhoon Main Raha Dil Main Utar Kar Nahin Dekha.
Kashti K Musafir Nay Samandar Nahin Dekha.
Bay Waqt Agar Jaoonga Sab Chonk Pare Ge.
Ek Umar Huyee Din Main Kabhi Ghar Nahin Dekha
Jis Din Se Chala Hoon Meri Manzil Par Nazar Hai.
Ankhoon Ne Kabhi Mail Ka Patther Nahin Dekha...
Ye Phool Mujhe Koi Virasaat Main Mile Hain.
Tumne Mera Kantoon Bhara Bister Nahin Dekha.
Yaaroon Ki Mohabbat Ka Yakin Karliya Maine.
Pholoon Main Chupaya Hua Khanjar Nahin Dekha.
Mehboob Ka Ghar Ho Ya Buzurgoon Ki Zaminay.
Jo Choor Dia Phir Use Moor Kar Nahin Dekha.
Khat Asa Likha Hai K Nagine Se Jare Hain.
In Hatoon Ne Lakin Koi Zevar Nahin Dekha.
Patther Mujhay Kehta Hai Mera Chahne Wala.
Main Moum Hoon Usne Mujhe Choh Kar Nahin Dekha.
Wo Mere Masayeel Ko Samajh Hi Nahin Sakta.
Jis Ne Meri Ankhoon Main Samandar Nahin Dekha.

Us ka tow her andaaz nirala sa lagay hai
Qatil hai mera aur masiha sa lagay hai
Wo jis se koi khas taaruf bhi nahi hai
jub bhi nazer aajaye hai apna sa lagay hai
hum us ke bina jaise mukammal hee nahi ?
jo kaam bhi kertay hain adhura sa lagay hai
mein us ki her aik baat ko kis terha na manoon
wo jhoot bhi bolay hai tow sachcha sa lagay hai
aik umr hui tootay huay dil ko hamare
ye zakhm mager aaj bhi kal ka sa lagay hai
itni si khata per keh tera naam liya tha
her shaks mere khoon ka piyasa sa lagay hai

umr jalwoo main basar ho ye zaroori to nahi
har shab-e-Gam ki sahar ho ye zaroori to nahi
chashm-e-saaqi se pio ya lab-e-saghar se pio
beKhudi aatho peher ho ye zaroori to nahi
neend to dard k bister pay bhi aasakti hai
unki aaghosh main sar ho ye zaroori to nahi
shaikh karta to hai Masjid main Kkhuda ko Sajdah
uskay Sajdoo main asar ho ye zaroori to nahi
sab ki nazroo main ho saaqi ye zaroori hai magar
sab pay saqi ki nazar ho ye zaroori to nahi