zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii
merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii
mujh ko bhii shauq thaa naye cheharon kii diid kaa
rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii
us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu
masruuf main bhii kam thaa faraaGat use bhii thii
suntaa thaa wo bhii sab se puraanii kahaaniyaan
taazaa rafaaqaton kii zaruurat use bhii thii
mujh se bichhad ke shahar mein ghul mil gayaa wo shaKhs
haalaanke shahar bhar se raqabat use bhii thii
wo mujh se badh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa
varnaa har ek saans qayaamat use bhii thii

Teri Bargah Mein Ay Khuda, Junhi Sar Ko Maine Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudayi Ne, Mujhe pastiyon Se Utha Diya,
Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha, Tere Dar ka Aik Faqeer Tha,
Tu Ne Aik Hi Sajday Mein, Mujhe Kya Se Kya Bana Diya,
Rag-e-Jaan Se Bhi Tu Qareeb hai,Tu Hi Likhta Sab K Naseeb Hai,
Jisay Chaha Pal Mein Utha Diya, Jisay Chaha Pal Mein Gira Diya…..!!!!

Manzilain bhi uski thi,Rasta bhi uska tha.
Ek main akeli thi,Kafila bhi uska tha..
---------*-------
Sath Sath chalne ki soch bhi uska thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi uska tha...
--------*--------
Aaj kyun akeli hoon,Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska tha....?
--------*-------