Bata Kiya Kya Tune Mere Liye
Mere Rab Ki Mujh Per Inayat Hui
Kahoon Bhi To Kese Ibadat Hui
Haqeqat Hoi Jese Mujh Per Ayaan
Qalam Ban Gya Hai Khuda Ki Zuban
Mukhatib Hai Banday Se Parwardigar
Tu Husn e Chaman Tu He Rang e Bahaar
Tu Miraj e Fun Tu He Fun Ka Singhar
Musavvir Hoon Mein Tu Mera Shahkaar
Ye Subhey Ye Shamey Ye Din Or Raat
Ye Rangeen Dilkash Haseen Kainat
Ke Huroon Malaik O Jinnat Mein
Kiya Hai Tujhy Ashrafulmakhluqat
Meri Azmatoon Ka Hawala Hai Tu
Tu Hi Roshni Hai Ujala Hai Tu
Farishtoon Se Sajda Bhi Karwa Diya
Ke Tere Liye Mein Ne Kiya Na Kia
Ye Dunai Jahaan Bazm Arayiaan
Ye Mehfil Ye Mele Ye Tanhayiaan
Falak Ka Tujhy Shamyana Dia
Zameen Per Tujhy Aabo – Daana Dia
Mile Aabsharoo Se Bhi Hoslen
Pahadoo Mein Tujh Ko Diye Rastay
Ye Pani Hawa Or Shams O Qamar
Ye Moj e Rawa Ye Kinara Bhanwar
Ye Shakhon Pey Ghunchay Chataktay Howey
Falak Pey Sitarey Chamaktay Howay
Ye Sabzay Ye Pholoon Bhari Kiyariyaan
Ye Panchi Ye Udti Hui Titliyaan
Ye Shola Ye Shabnam Ye Mitti Ye Sang
Ye Jharnon Kay Bajtay Hue Jal Tarang
Ye Jhilon Mein Haste Hue Se Kanwal
Ye Dharti Pey Mosam Ki Likhi Ghazal
Ye Sardi Ye Garmi Ye Barish Ye Dhoop
Ye Chehra Ye Qad Or Ye Rang o Roop
Darindoon Charindoon Pe Qaboon Diya
Tujhy Bhai De Kar Ke Bazoon Diya
Behan Di Tujhy Or Shareek e Safar
Ye Rishtay Ye Natay Ye Gharana Ye Ghar
Kay Aulaad Bhi Di …Diye Waledain
Alif Laam Meem Qaaf Or Aeen Gain
Ye Aqal o Zahanat Shaoor o Nazar
Ye Basti Ye Sehra Ye Khushki Ye Tar
Or Us Per Kitabain Hidayat Bhi Di
Nabi Bhi Utare Shariyat Bhi Di
Garaz Ke Sabhi Kuch Hai Tere Liye
Bta Kya Kiya Tune Mere Liye