ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
zaKhm phuulon kii tarah mahakenge par dekhegaa kaun
dekhanaa sab raqs-e-bismal men magan ho jaayenge
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun
vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai
log to phal-phuul dekhenge shajar dekhegaa kaun
ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa
raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun
aa fasiil-e-shahar se dekhen Ganiim-e-shahar ko
shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun
Her kissi ko aas main rekhne ki aadat uss ko thi
werna kyon matloob ghairon ki rafaaqat uss ko thi
kaise ker leta gawara woh meri sansoon ki aanch
in dinon khud apnay saaye se bhi wehshet uss ko thi
hijr ki ik aazmaish se guzer jane ke badh
sari duniya se judai ki shikayat uss ko thi
fasailay ka haq usse hasil tha uss ne ker liya
mujh se kab derkaar koi bhi vazaahet uss ko thi
ik khilona torne ke wastay derkaar tha
ab main samjha kis liye meri zarorat uss ko thi
Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain
jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain
karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein
sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain
woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi
hamari tamaam tar sAatein badal jati hain
sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say
milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain
chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Duur" bhi
humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain
yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi
magar"chand"dekhoon to meri ratein badal jati hain
mat chaho,k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki
yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain
Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein
Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare
Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare
KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai
ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai
koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA
shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA
Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.
Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.
ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai
dil abhi tak javan hai pyare
kis musibat men jaan hai pyare
hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista
Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye
Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya
Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya
Mat qatl karo awaz ko
har dil men utare jaate ho
ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho
Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do
Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai