Ab Tak Dil-e-Khush Fehem Ko Tujh Se Hain Umeedain, Yeh Aaakhri Shamaa Bhi Bhujaane Ke Liye Aa..
(shamaa;light)

Umar bhar ka maan toota, aur kya, Morr aya, sath choota, aur kya,
Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon, Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,
Jaan se jaana zaroori to nahin, Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,
Rote huye laal pathar ho gaye, Rafta rafta rang choota, aur kya,
Reh gaya tha yaad ka rishta faqat, Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,
Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n, Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,
Ghair to they ghair apne aap ko, Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,
aao dekho to zara baagh-e-wafaa, Ab koi gul hai na boota, aur kya,
Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz, Apna dil ho ya kahuta, aur kya..

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye
Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain Tere Aane Ke Zamaane Aaye
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye
Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?
Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye
Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam Kaash Phir Koi Bulaane Aaye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye
Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?
So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz’ Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye
Watch this Video Poetry »

Sitare Jo Damakte Hain Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Sitare Jo Damakte Hain
Kisi Ki Chashm-e-Hairan Mein

Mulaqaten Jo hoti Hain
Jamal-e-Abr-o-Baran Mein

Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

Shayed Yeh Zarf Hai Jo Khamosh Hun Ab Tak
Warna To Tere Aeib Bhi Maloom Hain Saare

Sub Jurm Meri Zaat Se Mansoob Howy "Mohsin"
Kya Mere Siwa Shehar Mein Masoom Hain Saare

KHwab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai

khvab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai 
aisi tanhai ki mar jaane ko ji chahta hai 

ghar ki vahshat se larazta huun magar jaane kyuun 
shaam hoti hai to ghar jaane ko ji chahta hai 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 

koi ham-dam na rahA koi sahArA na rahA 
ham kisi ke na rahe koi hamArA na rahA 

shaam tanhAi ki hai aaegi manzil kaise 
jo mujhe raah dikhA de vahi taarA na rahA

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain

Chalo ab aisa karte hain sitaarey baant lete hain.
Zarurat ke mutabiq hum saharey baant lete hain.

Mohabat karne walon ki tijaarat bhi anokhi hai,
Munaafa chhor detey hain khasaarey baant lete hain.

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai

ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasana hai
simTe to dil-e-ashiq phaile to zamana hai

dil abhi tak javan hai pyare

dil abhi tak javan hai pyare 
kis musibat men jaan hai pyare

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 

hai justuju ki khuub se hai khub-tar kahan 
ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte 
jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte 

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista

sarakti jaa.e hai rukh se naqab ahista ahista
nikalta aa raha hai aftab ahista ahista

Bas Ek Khyal Hai Taskeen E Jaan Hamare Liye …

Bas ek khyaal hai taskeen E jaaN hamare liye
Zamane bhar se koi bad gumaaN hamare liye

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya

Raz E ulfat chhupa ke dekh liya
Dil bahut kuchh jala ke dekh liya

Aur kya dekhne ko baaqi hai
Aap se dil lagaa ke dekh liya

Mat qatl karo awaz ko

tum apne aqidon ke neze
har dil men utare jaate ho

ham log mohabbat vaale hain
tum ḳhanjar kyuun lahrate ho

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil

Ab kahan dhoondhne jaoge hamaare Qaatil
Aap to qatl ka ilzaam hami par rakh do

Hum Dekhenge, Hum Bhi Dekhenge

Laazim hai ke hum bhi dekhenge
Wo din ki jis ka vaada hai