Zindagi insaan ki ek dam ke siwa kuch bhi nahi
Dam hawa ki mauj hai, ram ke siwa kuch bhi nahi
Gul, tabassum kah raha tha zindagani ko magar
Shama boli, Girya-e-gham ke siwa kuch bhi nahi
Raaz-e-hasti raaz hai jab tak koi mahram na ho
Khul gaya jis dam, to mahram ke siwa kuch bhi nahi
Zaayeran-e-kaba se IQBAL ye puche koi
Kia haram ka tohfa zam-zam ke siwa kuch bhi nahi?

By : Allama Iqbal

Writer