phir mujhe didaa-e-tar yaad aya
dil jigar tashnaa-e-fariyaad aya
dam liyaa tha na qayaamat ne hanoz
phir teraa vaqt-e-safar yaad aya
saadgi haaye tamanna yaani
phir wo nai_rang-e-nazar yaad aya
uzr-e-vaamaa.Ndagii ae hasrat-e-dil
nala kartaa tha jigar yaad aya
zindagi yuN bhi guzar hi jaati
kyo.n teraa raah_guzar yaad aya
kyaa hi rizavaan se laDai hogi
ghar teraa Khuld me.n gar yaad aya
aah wo jurrat-e-fariyaad kahaaN
dil se tang aake jigar yaad aya
phir tere kuche ko jaata hai Khayaal
dil-e-Gum_gashtaa magar yaad aya
koi viraani-si-viraa.Ni hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aya
main ne majnuN pe laDakpan men 'Asad'
sang uThaya tha ke sar yaad aya

Writer