chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya
ishq ke is safar ne to mujhko niDhaal kar diya
ai meri gul-zamin tujhe chaah thi ek kitab ki
ahl-e-kitab ne magar kya tera haal kar diya
milte hue dilon ke beech aur tha faisla koi
usne magar bichhaDte waqt aur sawal kar diya
ab ke hawa ke sath hai daman-e-yar muntazir
banu-e-shab ke hath men rakhna sambhaal kar diya
mumkina faislon men ek hijr ka faisla bhi tha
humne to ek baat ki usne kamal kar diya
mere labon pe mohr thi par mere shisha-ru ne to
shahr ke shahr ko mera waqif-e-haal kar diya
chehra-o-nam ek sath aaj na yaad aa sake
waqt ne kis shabih ko KHwab-o-KHayal kar diya
muddaton baad usne aaj mujhse koi gila kiya
mansab-e-dilbari pe kya mujhko bahaal kar diya
Writer