ham un se agar mil baiThte hain kya dosh hamara hota hai
kuchh apni jasaarat hoti hai kuchh un ka ishara hota hai
kaTne lagi.n raate.n aa.Nkho.n me.n dekhaa nahi.n palko.n pe aksar
kabhi shaam-e-Garibaa.N ka jugnu kabhi subah ka tara hota hai
ham dil ko liye har des phire is jins kaa gaahak mil na sakaa
ai banjaaro ham log chale ham ko to Khasaaraa hotaa hai
ham apni zabaa.N se kuchh bhi kahe.n shaayar hai Khayalo.n se khele.n
aa jaao to baaham mil baiThe kabhi hijr bhi pyara hota hai
daftar se uThe kaife me.n gaye kuch sher kahe kuchh kaafi pi
puchhaa jo ma'ash kaa "Inshaajii" yuN apna guzara hota hai
Ibn-e-Insha

Writer