kuchh tabiyat hi mili thi aisi chain se  jine ki suurat na hui
jis ko chaahaa use apna na sake jo mila us se muhabbat na hui
jis se jab tak mile dil hi se mile dil jo badla to fasana badlaa
rasme duniya ki nibhane ke liye hamse rishto.n ki tijaarat na hui
door se tha vo kai cheharo.n me.n paas se koi bhi vaisa na lagaa
bevafaai bhi usi ka thaa chalan phir kisi se hi shikaayat na hui
vaqt rooThaa rahaa bachche ki tarah raah me.n koi khilaunaa na milaa
dosti bhi to nibhaai na gai dushmani me.n bhi adaavat na hui
Nida Fazli

Writer