us ne sukut-e-shab men bhi apna payaam rakh diya
hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa
aamad-e-dost kii navid ku-e-vafaa men aam thi
main ne bhi ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa
dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain
main ne to sab hisaab-e-jaaN bar_sar-e-aam rakh diyaa
us ne nazar nazar men hi aise bhale suKhan kahe
main ne to us ke paaNon men saaraa kalaam rakh diyaa
shiddat-e-tishnagi men bhi Gairat-e-maikashi rahi
us ne jo pher li nazar main ne bhi jaam rakh diya
aur 'Faraz' chaahiiye kitanii muhabbaten tujhe
ke maaoN ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa
Ahmad Faraz
Writer