us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaaq
ai marg-e-naagahaaN teraa aanaa bahut huaa
ham Khuld se nikal to gaye hain par ai Khudaa
itne se vaaqye kaa fasaanaa bahut huaa
ab ham hain aur saare zamaane ki dushmani
us se zaraa rabt baDhaanaa bahut hua
ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar den
is aashiqi men jaan se jaanaa bahut hua
ab tak to dil ka dil se ta-arruf na ho sakaa
maanaa ki us se milnaa milanaa bahut hua
kya kya na ham Kharab hue hain magar ye dil
ai yaad-e-yaar teraa Thikanaa bahut huaa
kahta thaa naasehon se mere muNh na aa_io
phir kyaa thaa ek huu ka bahanaa bahut hua
lo phir tere labon pe usi bevafaa ka zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kaha naa bahut hua
By : Ahmad Faraz

Writer