saare jahaa.N se achhaa hindustaan hamaaraa
ham bulbule.n hai.n is ki ye gulistaa.N hamaaraa
Ghurbat me.n ho.n agar ham rahtaa hai dil vatan me.n
samajho vahi.n hamein bhi dil ho jahaa.N hamaaraa
parvat wo sab se uuNchaa ham_saayaa aasmaa.N kaa
wo santari hamaaraa wo paasabaa.N hamaaraa
godi me.n khelti hai.n is ki hazaaro.n nadiyaa.N
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janaa.N hamaaraa
ai aab-e-ruud-e-gangaa wo din hai yaad tujh ko
utraa tere kinaare jab kaarawaa.N hamaaraa
mazhab nahi.n sikhaataa aapas me.n bair rakhnaa
hindi hai.n ham watan hai hindustaa.N hamaaraa
yunaan-o-mishr-o-romaa sab miT gaye jahaa.N se
ab tak magar hai baaqi naam-o-nishaa.N hamaaraa
kuchh baat hai ki hasti miTti nahi.n hamaari
sadiyo rahaa hai dushman daur-e-zamaa.N hamaaraa
'Iqbal' ko_i maharam apnaa nahi.n jahaa.N me.n
maalum kyaa kisi ko dard-e-nihaa.N hamaaraa

Writer