Tum bhi khafa ho, log bhi barham hai dosto
Ab ho chala yaqeen ke, bure hum hai dosto
Kis ko hamaare haal se nisbat hai kya khabar
Aankhen to dushmano ki bhi purnam hai dosto
Apne siwa hamaare na hone ka ghum kise
Apni talash mein to hum hi hum hai dosto
Kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujha bujha
Kuch shehr ke chiraagh bhi maddham hai dosto
Is shahr-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo
Ab dil ki raunaqen bhi koi dam hai dosto
Sab kuch sahi "Faraz" par itna zaroor hai
Duniya mein aise log  bahut kam hai dosto
Ahmad Faraz

Writer